(Ghazal)
Jaisay ki chand pay rakha ho qadam
To nay jo hum ko dikhaya hai karam
Sun k ye hosh mai hun ya ki nahe hun
Tuj ko jo hum say muhabbat hai sanam
Zindagi Jbr-o-musalsal say ibarat thi hamain
Janay kis kis nay dikhaye thay bharam
Sans laina b tha dushwar kahain kaisay tumhain
Her sitam seh k mila hum ko naya aik janam
G mai ata hai jiye jain na mar jain kaheen
Moot aye b to pehlu say ghuzar jaye sanam
Bas tera sath na chutay ye dua hai meri
Kyun ki hun is ehd-e-tamasha mai akaila janam
(3 Sher)
Her pal hai sard raat meray sath kya karun
Gargen pay sankaroon hain jo hath kya karun
Her ik gali mai shorish-e-agyar ka ghyman
Lay kar mai teray sheher mai ik raat kya karun
Sochunga ga tuj say pyar ka bhandhan mai kaisay Naz
Her ik tarah say past hain awqaat kya karun
(1 Sher)
Kisi nay hum ko bhulaya hai umer bhar k liye
Bas aik hum hain kisi ko bhula na paingay
(3 Sher)
Bar sar-e-aamtaqaza-e-muhabbat nakaro
Is qadar toot k hum say ye chahat nakaro
Hum say ye bar-e-muhabbat na uthaya jaye
Kar sakay hum na muhabbat to shikayat na karo
Hum ko nafrat b nahe au ye chahat b nahe
Is liye tarq-e-ta'aluq woadawat na karo
(1 Sher)
Ik naye josh mai raqs hai zindagi
Her taraf hain sanam kis ki ho bandagi
(3 Sher)
Is bay zuban Dil ki zuban kaisay kahun
Ik badghuma'n ko amna amaa'n kaisay kahun
Kab say dil thaamk baithay hain teray darshan ko
Hum ko jo tum say muhabbat haikahan kaisay kahun
Ab to jeenay say b dil toot gaya hai mera
Choor k jaye meray dil ka jahan kaisay kahun
( 1 Sher)
Ik hashr bapa hai to tham k dil chal
Ashiqun ko saza hai to tham k dil chal
(1 Sher)
Ay meray dil tujay kya huwa hai bata
itna baychan hai aur rota hai kya
(1 Sher)
Hum say kuch baat karo, ik mulaqat karo
Meray shehr mai tum ho to ik raat karo
(2 Sher)
Ik hum pay inayat kar laina
Izharay muhabbat kar laina
Aye hain teray dar pay to
Itna na hazimat kar laina
(1 Sher)
Dil -e- bay qarar ko tera intizar hai
A ja o badesi to he mera pyar hai
(3 Sher)
Tuj ko ik khat mai likhunga
Tuj say hai rabt mai likhunga
Gam-e-Hijran ko bhulanay k liye
Kaisay kiya zabt mai likhunga
Saray aalam say juda hai dard mera
Tuj ko panay k hai khabt mai likhunga
(2 Sher)
Hashr bapa hai senay mai
Na wo maza hai jenay mai
Sagar-o-mena chor diya
Rakha kya hai penay mai
(Taveel Nazam)
Kisi ki aas marti hai
Kisi ki pyas bhujti hai
Kaheen say lash uthti hai
Kaheen pay aag lagti hai
Ye rangun say bhari dunya
Mai charoon samt phalay hain
O Andhiyaray Andhiyaray
Kaheen pay muskuratay hain
Kaheen pay dil jalatay hain
Kaheen pay aazmatay hain
Kaheen pay dil machaltay hain
Ye rangun say bhari dunya
Mai charoon samt phalay hain
O Andhiyaray Andhiyaray
Kaheen pay raag chaltay hain
Kaheen pay aahain bhartay hain
Kaheen pay naz uthtay hain
Kaheen pay zulm sehtay hain
Ye rangun say bhari dunya
Mai charoon samt phalay hain
O Andhiyaray Andhiyaray
Kaheen pay bat kehtay hain
Kaheen pay hont kat tay hain
Kaheen pay sans laitay hain
Kaheen pay sans ruktay hain
Ye rangun say bhari dunya
Mai charoon samt phalay hain
O Andhiyaray Andhiyaray
Kaheen manzar suhanay hain
Kaheen manzar weranay hain
Jahan dekho dewanay hain
Fasanay he fasanay hain
Ye rangun say bhari dunya
Mai charoon samt phalay hain
O Andhiyaray Andhiyaray
Jo ruthay hain mananay hain
Ye khawabun ka nagar hai ab
Nahe ab k rulanay hain
Yahan sapnay sajanay hain
Ye rangun say bhari dunya
Mai charoon samt phalay hain
O Andhiyaray Andhiyaray
No comments:
Post a Comment